Sunday, 28-04-2024, 0:36 AMMain | Registration | Login

Site menu

Search

Statistics


Total online: 1
Guests: 1
Users: 0

Our poll

Rate my site
Total of answers: 49

Login form

Blog
Main » 2011 » June » 10 » QUES: Hazrat Masseih Maoud (AS) said in his book " Islam k 2 hissay hain.Eik ALLAH ki Ataat aur doosra Hukoomat e Bertaniya Ki attat "
7:50 PM
QUES: Hazrat Masseih Maoud (AS) said in his book " Islam k 2 hissay hain.Eik ALLAH ki Ataat aur doosra Hukoomat e Bertaniya Ki attat "
ANS:

Allegation Ref: ( Rohani Khazaen Vol 6, Book Shahadat-Ul-Quran, page 380 )

Ise bat ko samajhne se pehle kuch background realities ko dekhna intehai zaruri hai jo k afsos ajkal k inparh ulma nai dekh sakte...

 

HISTORY

India mein British Govt se pehle Muslims ki halat bohat kharab thi. Sikhon ne Muslims k sath zulam karne mein koi kasar nai chori thi. Muslims ka sara ka sara maal loot lia jata tha, Unke inzatain unki apni nai thi jiska dil ata tha akay unki izaatain paamaal kar jata tha, aurton ki izaatain looti jati thi, Muslims ko apne mazhab ki azaadi nai thi, unko jis tarah India mein subse nichli zaat thi usko treat kia jata tha usi tarah Muslims ko treat kia jata tha. Muslims pe jaidaad rakhne pe pabandi thi takay woh uper na asakain aur usi gandi halat mein rahain...

 

ANSWER

Now Coming to the basic Ques.

Hazrat Masseih Maoud (AS) explained this further in the next page he stated

" Allah hamain saaf taleem deta hai k jis badshah k zair-e-saya amaan k sath basar kro iske shukar guzar aur farmabardar banay rho so agar hum British Govt se sarkashi karain to goya Islam aur Allah aur uske Rasool (SAW) se sarkashi karte hain ( Nabi Kareem SAW said " to be loyal to the place u live is the part of ur Faith or Imaan" ) ise soorat mein humse ziada bad dayanat kon hoga kiun k Allah k kanoon aur shariyat ko hum ne chor dia "

( Shahadat Ul Quran, Rk-Vol 6, Page 381 )

So us waqt k so called Muslim Ulma chahtay thay k log British Govt jis ne akay Muslims ko barabar k haqooq diye aur Unko Sikhon k banae huay jahanum se nikala aur unko freedom of speech, religion sub dia unke khilaf baghawat karain aur usko jihad ka naam dain jo k Allah aur Nabi Kareem (SAW) ki taleem k munafi tha isliye Hazrat Masseih Maoud (AS) ne yeh farmaya. To ise cutting ko yahoodiyon ki tarah kaat k pesh krna intehai Munafiqana harkat ha. 

NOTE:
Lagta hai Aj k aur us waqt k dono molviyon ko Muslims ki Sikhon k waqt ki halat hi bohat pasand thi. :-)

 

REFRENCE FROM QURAN

‎32. مِنْ أَجْلِ ذَلِكَ كَتَبْنَا عَلَى بَنِي إِسْرَائِيلَ أَنَّهُ مَن قَتَلَ نَفْسًا بِغَيْرِ نَفْسٍ أَوْ فَسَادٍ فِي الْأَرْضِ فَكَأَنَّمَا قَتَلَ النَّاسَ جَمِيعًا وَمَنْ أَحْيَاهَا فَكَأَنَّمَا أَحْيَا النَّاسَ جَمِيعًا وَلَقَدْ جَاءَتْهُمْ رُسُلُنَا بِالبَيِّنَاتِ ثُمَّ إِنَّ كَثِيرًا مِّنْهُم بَعْدَ ذَلِكَ فِي الْأَرْضِ لَمُسْرِفُونَO
32. اسی وجہ سے ہم نے بنی اسرائیل پر (نازل کی گئی تورات میں یہ حکم) لکھ دیا (تھا) کہ جس نے کسی شخص کو بغیر قصاص کے یا زمین میں فساد (پھیلانے کی سزا) کے (بغیر، ناحق) قتل کر دیا تو گویا اس نے (معاشرے کے) تمام لوگوں کو قتل کر ڈالا اور جس نے اسے (ناحق مرنے سے بچا کر) زندہ رکھا تو گویا اس نے (معاشرے کے) تمام لوگوں کو زندہ رکھا (یعنی اس نے حیاتِ انسانی کا اجتماعی نظام بچا لیا)، اور بیشک ان کے پاس ہمارے رسول واضح نشانیاں لے کر آئے پھر (بھی) اس کے بعد ان میں سے اکثر لوگ یقیناً زمین میں حد سے تجاوز کرنے والے ہیںo

( Surat Al Maida: 32 )

Yeh waqiya Quran mein kisi maqsad k liye hi likha ha warna iski koi zarurat nai thi qayamat tk, basically same is the teaching of Islam in this case " jis ne kisi begunah ka qatal kia usne goya puri insaaniyat ka qatal kia'' so jis Govt ne akay us waqt Muslims ko Amaan dia aur unko nahaq marne se bacha k rakha sikhon se so uske khilaf fasaad aur jisko jihad ka naam dia tha kia woh thek tha??? 

NOTE:
Dr. Tahir Ul Qadri sahab ne bari chalaki se yahan Tauraat k naam se bracket mein likh k ise bat ko tauraat se mansoob kardia ha takay log gumrah hokay unke kahay huay fatwon pe logon ko qatal karain but sorry Dr. sahab read this as well it will enlighten ur sick mind.

" jis ne kisi begunah ka qatal kia usne goya puri insaaniyat ka qatal kia''

this is teaching of Islam i hope u would be aware but don't wanna tell others.. Akhir roti paani ka masla ha ;-)

Views: 590 | Added by: Umer | Rating: 0.0/0
Total comments: 0
Name *:
Email *:
Code *:
Love For All Hatred For None
Islam Is Peace And Love
 
©c©