Friday, 19-04-2024, 3:01 AMMain | Registration | Login

Site menu

Search

Statistics


Total online: 1
Guests: 1
Users: 0

Our poll

Rate my site
Total of answers: 49

Login form

Blog
Main » 2011 » June » 10 » QUES: Hazrat Mirza Ghulam Ahmed ( AS ) ne apni books mein galiyan likhi hain, aur ek Nabi kabi b galiyan nai deta?
10:57 PM
QUES: Hazrat Mirza Ghulam Ahmed ( AS ) ne apni books mein galiyan likhi hain, aur ek Nabi kabi b galiyan nai deta?
ANS:

Allegations: 

  • AQAL K ANDHO
  • ALZURYAT-UL-BAGHAYA
  • INKI AURTAIN KUTYON SE B BARH GAI HAIN
  • ULLU
  • AAY KHABEES

1) AQAL K ANDHO

Ab jese Hazrat Mirza Ghulam Ahmed ( AS ) ki book se 1st hawala dia gya ha ''Ankhon k andho''...Ab mein isko explain karta hun...

Imaam Mehdi k baray mein Hadees mein peshgoi hai k jab unka zahoor hoga to Qamar ( Chaand ) ki pehli aur sooraj ki darmyani ko ramzan k maheenay mein garehan lagay ga... Jab Hazrat Mirza Ghulam Ahmed ( AS ) ne peshgoi ki k agar mein sacha hun to yeh hadees zarur puri hogi.....aur yeh peshgoi Hazrat Mirza Ghulam Ahmed (AS) k daway k baad mein puri b hui....magar ulma ne ise pe kehdia k ramzan mein pehli k chaand ko aur aur sooraj ko ramzan ki 15 ko grehan lagay ga..... Ab mere bhai mujhe ek bat batao k Qamar to puray chaand ko kehte hain, aur hadees mein be QAMAR ka lafz use hua ha.....dosra garehan mein chaand ya sooraj adha reh jata ha.....pehli ka chaand nazar hi nai ata to usko grehan kese lag sakta ha??? ap khud aqalmand ho ap khud socho ispe....dosra Allah k qanoon-e-qudarat se koi b chez bahir nai hoti, moajza yeh nai hota k woh qanoon-e-qudrat se bahir ho, balke mojaza yeh hota ha k koi Allah ka naik admi uski peshgoi karay aur woh chez hojae.... to aisa admi jo aisay saaf aur wazeha nishaan ko ghalat kahay ya usko mojazay k khatay mein dal day woh ''aqal ka andha'' hi kaha jaega......jis k pas aqal ha magar woh uske bawajod andha ha aqal se....


 

Extra Knowledge Part 1:

Same isi tarah Hazrat Moosa ( AS ) ka b waqya ha.... Jab firon aur uske saathi apka peecha kar rhay thay to usi waqt Allah ki tarah se wahi hui k apna aasa pani mein marain to woh phaat jaega.... apne aisa hi kia aur ap aur apke sath us mein banay huay raste se guzar gae aur jab firon aur uske sath adhay raste mein aae to pani mil gay.....Ab dekhne mein to yeh mojza ha..... magar latest science isko sabit karti ha k jis jaga yeh waqya hua tha us jaga asal mein 2 samadron ka pani milta ha.....jis waqt Allah ne ilham ki tha us waqt aisa waqt tha k 2no samardron k pani ne takrana tha.....aur jese hi apne apna aasa mara pani phat gya ( us waqt 2 lehrain aapas mein takrai aur wapis chali gai jis se darmayn mein jaga ban gai) aur jab tk firon waghera pohanchay woh dobara wapis apni jaga pe agai..... aise waqiyat tareekh mein kafi dafa hote hain magar mojza yeh tha k us waqt Allah k Nabi ne kaha aur woh time aisi bana k woh pura hua jo k Qanoon-e-Qudrat se bahir nai tha.... Think on it..


‎2)ALZURYAT-UL-BAGHAYA

Ek aur lafz use hua ha ''alzuryat ul baghaya'' jis k kafi matlab hain
1) akhaar admi
2) zidi tabeat wala
3) kisi ki b na sunnay wala
4) Randiyon ki aulad

Ab ise mein unhon ne Zuryat ul baghaya se murad '' Akhar logon'' se li ha...Ab agar ulma usko 4th matlab lene pe pakay huay bethe hain to Hazrat Mirza Ghulam Ahmed ( AS) ka kia kasur ha???


 

‎3) INKI AURTAIN KUTYON SE B BARH GAI HAIN


3rd apne ek word coat kia ha uper pic mein ''inki aurtain kutiyon se barh gai hain'' jisko apne gali bayan kia ha.....not let me explain it

janwaroon mein ek cheez hoti ha k woh sexually kisi b male partner k sath bound nai hote... Female animal kafi male animals k sath sex kar sakti ha aur karti hain like dogs, tigers, pigs etc..... so aisi yahan kutiyon se muraad aisi aurtain hain jinhon ne Islam ki boundries cross kar k bohat saray ya ek se ziada mardon se apna najayaz taluq banaya tha..... ab aisi aurat ko tashbeeh mein Kutiyon mein hi kaha jaega..... Agar iski jaga Hazrat Mirza Ghulam Ahmed ( AS ) ne likha hota k ''unki aurtain bohat saray mardon k sath taluqat qaim karne lag gai thi etc etc'' to ap logon ne hi aitraaz uthana tha k Mirza Sahab apni book mein Sexual aur Ghalat batain likhte hain.... So ikhlaq ka taqaza yehi tha k ise baat ko dhakay chupay ya 2sray alfaz mein tashbeeh k rang mein bayan kia jae jo apna matlab b wazeha kar day aur bura b na lagay....


‎4) ULLU


Mere Bhai ab ise mein jese likha ha ''ullu'' to ulu kehne ka matlab gali nai ha balke yeh tashbeeh di ha k jese ullu raat ko dekh sakta ha aur subha nai dekh sakta isi tarah kia tum log b andhay hogae ho k jab matlb ki baat ati ha to tumhain sub nazar ajata ha aur jab ISLAM ki baat ati ha jo subha ki tarah roshan ha to tum andhay hojate ho....to yeh jitni b batain apke kisi aalim ne coat ki hain yeh tashbeehat ha q k har buray shakhs mein kuch nuqs aur buraiyan hoti hain....to ek insaan jo ghalat ho yah ghalat chez ki taleem day rha ho haq jannay k bawajood usko ap achay alfaz mein kese bayan kar skte hain??? ab ek insaan intehai bura ho aur Nabi kareem ( SAW ) ko galiyan deta ho to uske andar ''khabees shaitaan'' hi hai na jo us se yeh karwa rha ha.....ap usko naik, muttaqi aur parhez gaar to nai kahain gay???? ya sirf bura admi kehne se uski position wazeha nai hoti.... zarur uske sath aise lafz ki tashbeeh lagani paray gi jo baqi parhne walo pe uski burai aur uski burai ki haad wazeha karay...


‎5) AAY KHABEES


Mere bhai ap bata do iski jaga kia likh dain???? Ek insaan jo Nabi Kareem ( SAW ) k cartoon banata ho usko ''Khabees'' na likhain to kia likhain??? Naik, Muttaqi aur parhaizgar likh dain??? Ap iska alternative word bata do.....

This word has been taken from Anjaam Atham ( Roohani Khazaen) Page 45

This word is being used for those PADRI's who were involved in making Cartoons of Hazrat Muhammad ( SAW) and were involved in abusing him on daily basis through newspaper and live.....

Views: 6312 | Added by: Umer | Rating: 5.0/1
Total comments: 1
1 Umer  
0
Hello XlurewXa. How may i help you?

Name *:
Email *:
Code *:
Love For All Hatred For None
Islam Is Peace And Love
 
©c©