Sunday, 28-04-2024, 2:00 PMMain | Registration | Login

Site menu

Search

Statistics


Total online: 1
Guests: 1
Users: 0

Our poll

Rate my site
Total of answers: 49

Login form

Blog
Main » 2011 » June » 10 » QUES: Masseih k baray mein hai k woh Kisi Mualim ka shagird nai hoga na kisi se taleem lega balke Allah se hidayat lega?
11:03 PM
QUES: Masseih k baray mein hai k woh Kisi Mualim ka shagird nai hoga na kisi se taleem lega balke Allah se hidayat lega?
ANS:

Hazrat Masseih Maoud (AS) ne farmaya;

" Mehdi k naam ki waja jesa k rivayat kia gaya hai yeh hai k wo ilaam ko ulma se nai lay ga aur Allah k pas se hidayat paae ga jesa k Allah ne apne Nabi (SAW) ko isi tareeq se hidayat di "
( Najam Ul Huda page 90, RK- Vol 14)

" Anay Walay ka naam jo Mehdi rakha gaya hai so ise mein yeh ishara hai k wo anay wala ilaam e din Allah se hi hasil karega aur Quran aur Hadees mein kisi ustaad ka shagird nai hoga, so mein halfaan keh sakta hu k mera haal yehi hai koi sabit nai kar sakta k mein ne kisi insaan se Quran ya hadees ya tafseer ka ek sabaq b parha hai ya kisi mufasir ya muhadis ki shagirdi ikhtiyar ki hai "
( Ayaam Ul Sulah page 394, RK-Vol 14 )

" 6,7 saal ki umer mein farsi Mualim Fazal Ellahi se Quran sharif aur chand farsi ki kitabain parhi, 10 saal ki umer mein ek arbi molvi Fazal Ahmed sahib meri tarbiyat k liye muqarar kiye gae aur mein ne saraaf aur kuch qawayad nahu un se parhay, 17,18 saal ki umer mein ek aur molvi sahib Gul Ali shah se parhne ka itefaq hua "
( Kitaab Ul Bariya, page 180, RK-Vol 13 )

1) To janab Arz yeh hai k Hazrat Masseih Maoud (AS) ne Basic Education kuch Mualimon se hasil ki hai baqayada kisi ustaad ki shagirdi nai ki hai. Aur Mehdi ka matlab b yehi hai k Allah se hidayat paya hua to basic parhna kisi se hidayat pana nai hai.

2) Aap ne Najam Ul Huda mein yahi farmaya hai k wo Hidayat Allah se paae ga jesa k Nabi Kareem (SAW) ne paai. To Arz yeh hai k Quran to Nabi Kareem (SAW) ne Hazrat Jibreel (AS) se parha hai beshak wo Allah ka kalaam tha but jo Hazrat Jibreel (AS) apko parhatay wohi aap parhtay thay. To ise se yeh murad nai ha balke Quran ko samajhna murad hai aur wo hidayat Allah se hi hasil hoskti ha. Aur Aap (AS) ne b Quran ka talafuz ustaad se sekha ha jesa k bayan hai k us waqt apki umer 6,7 saal thi to ise umer mein talafuz hi sekha hoga na k tafseer karna?

3) "Quran ya hadees ya tafseer ka ek sabaq b parha hai ya kisi mufasir ya muhadis ki shagirdi ikhtiyar ki hai”…. Na to apne kisi se hadees parhi na tafseer na kisi mufasir ya muhadis ki shagirdi ki q k molvi k liye mufasir ya muhadis hona shart nai ha… ab bat reh gai Quran k sabaq ki to apne 6,7 saal ki umer mein Quran ka talafuz seekha na k uski translation aur tafseer… to wo talafuz k zumra mein aega na k sabaq k, q k sabaq ka matlab ha jiski samajh ho aur jis se koi nateeja nikala ja sakay, to 6,7 saal ka bacha na to Quran se nateeja nikal sakta hai na usko samajh sakta hai.

Ab Baqi reh gai k Nabi kisi se b taleem nail leta to yeh jahalat ki batain hain, sirf Nabi Kareem (SAW) k liye ummi ka lafz istemal hua hai, agar baqi Nabi b kisi se nai parhay huay to Nabi (SAW) ki ummi hone mein kia fazeelat ha? 
Isi liye Quran mein Moosa (AS) k liye Allah k ek banday Khizar ka zikar hai

" Hazrat Moosa (AS) ne unse kaha k kia mein aap ki ise amar mein pairvi karun k ap mujhe wo ilaam parhaen jo apko sikhaya gya ha? "
( Al Kahaf: 67)

" Hazrat Moosa (AS) ne Khizar ki paish karda shart ko usi tarah qabool karlia jis tarah ek shagird apne ustaad ki shart ko kamal adab se qabol kia karta ha”
( Tafseer Suart Al Kahaf:71 )

Iske ilawah Hazrat Isa (AS) aur Moosa (AS) k halat dekhne se maloom hota hai k wo parhay likhay thay.
Iske ilawah Hazrat Ismail (AS) ne Arbi Banu Jarham k kuch khadimon mein se logon se seekhi
( Bukhari Kitaab Ul Ambiya baab 9 )

Iske ilawah Hazrat Idrees (AS) ne qalam se likhna shuru kia. To kisi se to seekha hoga likhna?
( Kanooz Ul Haqayaq Fi Ahadees Khair ul Khalayaq, Vol 1, Page 89)

To Basic taleem lena koi aisi cheez nai hai…. Haan Hazrat Masseih Maoud (AS) ne jo dawa kia wo kisi Mualim, Mufasir, Muhadis ya kisi Mualim se uska sabaq lia hota to yeh kaha jaskta tha. Ise zamana mein wafat-e-Isa (AS) sabit karna Quran se aur Khatam E Nabuwat ki haqeeqat kholna beshak Allah ki taraf se hi hidayat aur Ilaam hai jo k Allah ne hi dia ha koi Mualim ya Ustaad yeh nai day sakta tha.
Views: 451 | Added by: Umer | Rating: 0.0/0
Total comments: 0
Name *:
Email *:
Code *:
Love For All Hatred For None
Islam Is Peace And Love
 
©c©