Sunday, 28-04-2024, 4:45 AMMain | Registration | Login

Site menu

Search

Statistics


Total online: 1
Guests: 1
Users: 0

Our poll

Rate my site
Total of answers: 49

Login form

Blog
Main » 2011 » June » 10 » QUES: Mirza Sahab ne kafi jaga Hazrat Isa (AS) ki toheen ki?
11:11 PM
QUES: Mirza Sahab ne kafi jaga Hazrat Isa (AS) ki toheen ki?
ANS:
Hazrat Masseih Maoud (AS) ne woh jo b likha woh hawala jat bible mein se parhay jaskte hain.. ap ne woh tamam hawala jat bible se quote kiye thay aur iska basic maqsad Padri Imaad Ud Din aur dosre Christians jo us Waqt Nabi Kareem (SAW) ko galiyan dete thay aur unke cartoon banate thay unko dikhana tha k jis insaan ko tum Khuda mantay ho usko tumhari kitaab yeh bayan karti hai aur jis Rasool (SAW) ko tum galiyan dete ho woh taqwa ki bareek rahoon pe chalne walay thay aur unki puri zindagi pe ek ungli b nai uthai jaskti... 

Here are references of those allegations from bible below;


‎1) Ibn e Adam khata peeta aya aur who kehte hain dekho khaao aur sharabi admi, mehsool lene walon aur gunah garon ka yaar 
(Mati baab 11, dars 19)

2) Aur jab Yasoo Bait-e-anyaah mein shamoon korhi k ghar mein tha to ek aurat sang-e-mar mar k itaar daan mein qeemti itaar lay k uske paas I aur jab who khana khane betha to suke sir pe dala.
( Mati baab 26, dars 6,7)

3) Phir kisi fareesi ne us se darkhwast ki k mere sath khana kha, paas who us fareesi k ghar ja k khana khane betha. To dekho ek badchalan aurat jo us shehar kit hi, yeh jaan kar k woh us fareesi k ghar mein khana khane betha hai sang-e-marmar k itaar daan mein itaar laai. Aur uske paon k pas roti hui pechay khari ho kar uske paon ansooun se bhigone lagi aur apne sir k balon se unko ponjha aur uske paon chomay aur un par itaar dala….
( Loqa baab 8, dars 36,37,38,39)

4) Aur baaz aurtain jinhon ne buri roohon aur beemariyon se shafa paai thi yani maryam jo magdlini kehlati thi jis mein se 7 bad roohain nikli thi aur yoana herodees k dewaan khooza ki biwi aur sosna aur bhateri aur aurtain bhi thi jo apne maal se unki khidmat karti thi…

( Loqa baab 8, dars 2,3)

5) Phir teesray din Kanai Galil mein ek shadi hui aur yasoo ki maan wahan thi, aur yasoo aur uske shagirdon ki b us shadi mein dawat thi, jab maae ( Sharab) ho chuki to yasoo ki maan ne us se kaha k unke pas maae (sharab) nai rai. Yasoo ne us se kaha aae aurat mujhe tujh se kia kaam hai? Abi mera waqt nai aya. Uski maan ne khadimon se kaha k jo kuch yeh tumse kahay tum karo. Wahan yahoodiyon ki taharat k dastoor k muwafiq pathar k 6 matkay rakhay thay aur un mein 2,2 3,3 maan ki gunjayash thi. Yasoo ne unse kaha k matkon mein pani bhar do,paas unho ne unko lubaab bhar dia. Phir us ne un se kaha k ab nikal kar meer majlis k pas lay jao paas who lay gae, jab meer majlis ne who pani chakha jo maae (sharab) baan gya tha…
( Yohana baab 2, dars 1 to 9)

6) Wahan unhon ne uske wastay sham ka khana tayar kia aur Martha khidmat karti thi magar Laezar un mein se tha jo uske sath khana khane bethay thay. Phir Maryam ne jata masi ka aadh sair khalis aur baish keemat itaar lay kar yasoo k paoon pe dala aur apne balon se uske paon ponjhay…..
( Yohana baab 12, Dars 2,3)

7) Aur Daood Aur Salman Us Aurat se paida huay jo pehle Auryah ki biwi thi….
(Mati Baab 1, Dars 7)
Aur Shaam k waqt Daood apne palang par se uth kr badshahi Mehal ki chaat pe tehalne laga aur chat per se us ne ek aurat ko dekha jo naha rai thi aur who aurat nehayat khoobsurat thi, tab daood ne log bhej kar us aurat ka haal daryaft kia aur kisi ne kaha kia who Ilaam ki beti Butsaba nai jo Hati aur Yah ki biwi hai? Aur daood ne logon ko bhej kr usay bula lia. Who uske paas I aur us ne us se suhbat (zana) ki.phir who apne ghar ko chali gai.
(Semoel-2, Baab 11, Dars 2,3,4)

8) Yahooda ne apne Betay Ieer ki Biwi Samar se Zana kia jo k Yasoo k Aba-O-Ajdaad mein se hain.
( Paidaish, Baab 38, Dars 1 to 20 ) Complete Story Of his son and wife and zana

Aur Samar Jo k Ieer ki biwi thi jiske sath Yahooda ne zana kia who Yasoo ki Abaa O Ajdaad ki pusht mein se hain.
( Mati, Baab 1, Dars 3)

SOURCE WEBSITE: http://www.urdubible.net/
Views: 597 | Added by: Umer | Rating: 1.0/1
Total comments: 0
Name *:
Email *:
Code *:
Love For All Hatred For None
Islam Is Peace And Love
 
©c©