Thursday, 16-01-2025, 7:00 AM | Main | Registration | Login |
Statistics
Total online: 2 Guests: 2 Users: 0
|
Publisher
TOHEEN-E-AMBIYA BY NON AHMADI ULMA'S
1) HAZRAT IBRAHIM (AS):
" Hazrat Ibrahim (AS) ne sirf 3 jhot bolay ”
( Tirmazi Jild 2 page 146 Mujtabai, Matba Ahmadi Tirmazi Jild 2 page 163)
2) HAZRAT ADAM (AS):
" Hazrat Adam aur Ama Hawa ne apne pehle betay ka naam Abdullah k bajae Abdul Haris rakha aur Iblees ka naam malaika mein haris tha " Aur Shirk kia Naooz Billah
( Tafseer Qadri moosoma ba tafseer husaini jild 1 page 351)
3) HAZRAT DAOOD (AS):
" Allah ne Hazrat Daood (AS) ko tanbeeh ki ise waja se k Hazrat Daood (AS) ki 99 biwiyan thi. Unhon ne ek aur shakhs jiske pas sirf ek biwi thi uski biwi lay kar khud nikah karlia”
( Jalaleen Ma Kamaleen page 379)
4) HAZRAT YOUSAF (AS):
" Ise aurat Zulekha ne Hazrat Yousaf (AS) se zana ka irada kia aur Hazrat Yousaf (AS) ne b us k sath meelan taba aur shehwat ghair ikhtiyari k bais zana ka irada kia”
(Jamya Al Biyan page 203, Jalaleen Ma Kamaleen page 190 Mujtabai 1306 Hijri)
5) HAZRAT SULMAN (AS):
" Khuda Salman (AS) se naraz hua kiun k unhon ne ek aurat ko apni biwi bana lia jis se apko ishq hogya tha”
( Jalaleen Mujtabai page 380, Jamya Al Bayan juz 23 page 95)
6) HAZRAT IDREES (AS)
" Jhoot bol kar janat mein dakhil hogae magar phir wapis na nikle "
( Tafseer Muhammadi Zair-e-ayat warafanahu makanaan aliyaan, Maryam: 58)
7) NABI KAREEM (SAW):
" Ek dafa Nabi Kareem (SAW) ne Zainab ko dekha iske baad k apne Zainab ka nikah Zaid se kardia hua tha, paas apke dil mein (Naooz Billah) Zainab ka ishq hogya aur apne farmaya k paak hai woh jo dilon ko phair deta hai, Zainba ne apki yeh tasbeeh sun li aur zaid se zikr kardia, paas zaid k dil mein zainab k sath sohbat k mutaliq karahat paida hogai aur wo Nabi Kareem (SAW) k paas aya aur akay kaha k mein apni biwi se alheda hona chahta hu, Ap (SAW) ne pocha kia tujh ko ise mein koi aib nazar ata hai? Zaid ne kaha bakhuda nahi us mein mujhe koi gunah Nazar nai aya yeh to mehaz Hazrat Zainab k sharf aur azmat ki waja se hai. Ap (SAW) ne yeh sun k farmaya k apni biwi ko apne paas rakh”
( Tafseer Bezavi Jild 4 page 163)
"Maqatil ne ravayat ki hai k Aap (SAW) ek din Zaid k ghar gae aur wahan Zainab ko soye huay dekha aur wo goori haseen aur jaseem thi aur quresh ki tamaam haseen tareen aurton mein se thi "
(Kamaleen Barhashiya Jalaleen page 353 Mujtabai)
Naooz Billah Nabi Kareem (SAW) ko Shaitani Ilhaam hua; " Nabi Kareem (SAW) ne mushrakeen ki ek majlis mein surat najam ki aayat k agay alqae shaitani se lailmi mein yeh parh dia k yeh 3no buut bari azmat aur shaan wale hain aur qayamat ko b ine se shifaat ki umeed rakhni chahiye. Buton ki yeh tareef sun k mushrik bohat khush huay, iske agay likha hai k baad mein jibreel aae aur unho ne Aap (SAW) ko bataya k yeh ilhaam-e-elahi nai balke Shaitani alqa tha " ( Jalaleen Mujtabai page 282, matboa 1306 hijri, tafseer aayat surat najam:20 )
|
Category: My articles | Added by: Umer (21-06-2011)
|
Views: 635
| Rating: 1.0/1 |
|
| |