Thursday, 16-01-2025, 6:55 AM | Main | Registration | Login |
Statistics
Total online: 1 Guests: 1 Users: 0
|
Publisher
TOHEEN-E-RASOOL (SAW) BY TODAY'S ULMA'S
1) Hazrat Isa (AS) ko Allah ne saleeb se zinda utha lia q k unki takleef nai bardash hui Allah se, Jab k jinke liye duniya bani un per kufaar ne kia zulm nai kiye but Allah ne unko nai uthaya.. To afzal kon hua inke aqeeda k mutabiq?? Hui toheen wali bat k nai?
2) Hazrat Isa (AS) ko Allah ne 3000+ saal ki zindagi day di magar Nabi Kareem (SAW) jo tamam Nabiyon k sardar hain unko Allah normal Insaan jesi zindagi di... afzal kon hua aqeeda k mutabiq?? hui toheen k nai?
3) Hazrat Isa (AS) ko ''rafa'' k meaning mein lay ja k inhon ne khedia k woh Aasmaan pe hain but Nabi Kareem (SAW) jinke liye Quran mein b hai k woh Akhreen mein b aengay unko yeh kehte hain k woh wafat paa gae... afzal kon hua?? hui na toheen??
--> هُوَ الَّذِي بَعَثَ فِي الْأُمِّيِّينَ رَسُولًا مِّنْهُمْ يَتْلُواْ عَلَيْهِمْ آيَاتِهِ وَيُزَكِّيهِمْ وَيُعَلِّمُهُمُ الْكِتَابَ وَالْحِكْمَةَ وَإِن كَانُوا مِن قَبْلُ لَفِي ضَلَالٍ مُّبِينٍ --> وہی ہے جس نے اَن پڑھ لوگوں میں انہی میں سے ایک (با عظمت) رسول (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کو بھیجا وہ اُن پر اُس کی آیتیں پڑھ کر سناتے ہیں اور اُن (کے ظاہر و باطن) کو پاک کرتے ہیں اور انہیں کتاب و حکمت کی تعلیم دیتے ہیں، بیشک وہ لوگ اِن (کے تشریف لانے) سے پہلے کھلی گمراہی میں تھے
--> وَآخَرِينَ مِنْهُمْ لَمَّا يَلْحَقُوا بِهِمْ وَهُوَ الْعَزِيزُ الْحَكِيم -->اور اِن میں سے دوسرے لوگوں میں بھی (اِس رسول صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کو تزکیہ و تعلیم کے لئے بھیجا ہے) جو ابھی اِن لوگوں سے نہیں ملے (جو اس وقت موجود ہیں یعنی اِن کے بعد کے زمانہ میں آئیں گے)، اور وہ بڑا غالب بڑی حکمت والا ہے
( Surat Juma 2+3)
NOTE: Hamara yeh aqeeda nai k Nabi Kareem (SAW) wapis aengay balke yeh ques hai sirf...
5) Hazrat Isa (AS) ne murdon ko zinda kardia magar Nabi kareem (SAW) ne koi murda zinda nai kia... Hazrat Isa (AS) ko Allah ne yeh Mojaza day dia magar tamaam Nabiyon k sardar ko ise se mehroom rakha...afzal kon hua?? hui toheen k nai???
6)Hazrat Salman (AS) k kabzay mein Allah ne jin day diye aur woh chontiyon ki awaz suun lete thay magar Nabi Kareem (SAW) jo tamaam nabiyon k sardaar thay unke pas na jin thay na woh chontiyon ki awaz suun sakte thay....afzal kon hua?? hui toheen k nai??
7) Hazrat Ibraheem (AS) ne 4 parindon k tukray kar k pahaar pe rakh dia aur unko apni taraf bulaya to woh zinda hokay agae, magar jo tamaam nabiyon k sardar hain unko Allah ne aisa koi mojza nai dia... afzal kon hua?? hui na toheen???
8) Nabi Kareem (SAW) pe kisi ne jadu kardia tha, Matlab Quran ki hifazat ka zima Allah ne lia tha, Aur Nabi kareem (SAW) ki zindagi Quran ki tashreeh hai baqol Hadees... to ek Aam insaan ka kala ilaam 2 jahanon ki rehmat aur Nabiyon k sardar ki apni taqat pe bhari par gya Aur (Naooz Billah) Allah nakaam rha Quran ki tashreeh ki hafazat mein... kon afzal hua?? Hui toheen k nai??
9) Ek insaan jisne Allah se sawal kia k ise basti jo k ujri hui ha tu usko kese zinda karega to Allah ne usko 100 saal maray rakha aur phir Zinda kar dia...aur Hazrat Isa (AS) ko b 100 saal se zinda rakha ha aur Allah k kanoon-e qudrat mein aisa ha apke baqol... Magar jo tamaam Nabiyon k sardar hain woh sirf 60 saal k kareeb zinda rhay Allah ne ise mein se koi chez unko nai ata kia... kon afzal hua??? hui toheen k nai??
Can u people answer this??? Ise sub aqeeda k baad Nabi Kareem (SAW) mein konsi fazeelat baqi rhi ha?? apka aqeeda to unse pehle sub Nabiyon ko afzal show karta ha (Naooz Billah) jo k nai ha... Matlab jis Nabi (SAW) k liye duniya bani unko ise rehmat mein se kuch b nai mila magar jo unke tabay Nabi thay unko sub mila?? jis pe deen ka kamaal hua usko aisa kuch nai mila baqiyon ko mil gay?? What a faith... and still u say we love him, to me u people disgrace him daily from ur aqeeda... sorry to say...
|
Category: My articles | Added by: Umer (21-06-2011)
|
Views: 436 | Comments: 1
| Rating: 0.0/0 |
|
| |