Sunday, 28-04-2024, 3:31 PMMain | Registration | Login

Site menu

Search

Statistics


Total online: 1
Guests: 1
Users: 0

Our poll

Rate my site
Total of answers: 49

Login form

Blog
Main » 2011 » June » 21 » QUES: Masseih ka islami Ulma k hath se dukh uthana, Kafir Qarar dia jana aur uske Qatal k fatway?
2:41 AM
QUES: Masseih ka islami Ulma k hath se dukh uthana, Kafir Qarar dia jana aur uske Qatal k fatway?
Mirza Sahab ne likha " Zaruri tha k Quran Sharif aur Ahadess ki wo peshgoiyan puri hoti jin mein likha tha k Masseih Maoud jab zahir hoga to Islami Ulma k hath se dukh uthae ga aur wo usko kafir qarar dain gay aur uske qatal k liye fatway diye jaen gay.

ANS:

‎1) ULMA K HATH SE DUKH UTHANA:

وَمَا يَأْتِيهِم مِّن نَّبِيٍّ إِلَّا كَانُوا بِهِ يَسْتَهْزِؤُونO
اور کوئی نبی اُن کے پاس نہیں آتا تھا مگر وہ اُس کا مذاق اڑایا کرتے تھے
( Surat Al Zukhraf: 7 )

To Allah khud farmata hai k jab b kisi qaum pe Nabi bheja gya uska mazaq hi uraya gya ha... to jab kisi b Allah k Nabi ka mazaq uraya jata hai to usko dukh hi hota ha q k woh jo b bayan karta ha woh manjanib Allah hota hai aur jo Allah k hukam ka inkaar karta hai woh uske azaab ko awaz deta hai.... Iske ilawah mazaq se murad latefay sunana nai hota balke uski toheen ki jati hai aur usko tarah tarah ki takleefain di jati hain... To Hazrat Mirza Ghulam Ahmed (AS) Allah k Nabi thay unke sath b wohi hona tha jo sub nabiyon k sath hua tha... Bilfarz mahaal agar apki b maan li jae k Isa (AS) hi Masseih Maoud hain to woh b Nabi Ullah thay unke sath b yehi hona tha...

2) KAFIR QARAR DENA:

وَلَقَدْ كُذِّبَتْ رُسُلٌ مِّن قَبْلِكَ فَصَبَرُواْ عَلَى مَا كُذِّبُواْ وَأُوذُواْ حَتَّى أَتَاهُمْ نَصْرُنَا وَلاَ مُبَدِّلَ لِكَلِمَاتِ اللّهِ وَلَقدْ جَاءَكَ مِن نَّبَإِ الْمُرْسَلِينَO
اور بیشک آپ سے قبل (بھی بہت سے) رسول جھٹلائے گئے مگر انہوں نے جھٹلائے جانے اور اذیت پہنچائے جانے پر صبر کیا حتٰی کہ انہیں ہماری مدد آپہنچی، اور اﷲ کی باتوں (یعنی وعدوں کو) کوئی بدلنے والا نہیں، اور بیشک آپ کے پاس (تسکینِ قلب کے لیے) رسولوں کی خبریں آچکی ہیں
( Surat Al Inaam: 34 )

Allah ne saaf farma dia hai k Pehle b Jitne Nabi ya Rasool aae unka jhutlaya gya hai, to Masseih Maoud (AS) ko b jhutlana lazmi amar thehra kiun k hamesha Nabiyon k sath yehi hota aya hai... Ab jhutlana ya jhota kehna b kafir hi kehna hota ha.... Q k kafir ka matlab Inkar karna hai yani kisi k aqeeda ka koi b inkaar karega to woh kafir hi kehlae ga... Kisi Nabi ya Rasool ko jhota tabhi kaha jata hai jab woh kisi bigri hui qaum ko seedhi raah dikhae to woh raah beshak unki ghalat raah k ult seedhi hoti hai jisko woh qaum ghalat keh k us Nabi ko inkaar karne wala kehti hai yani kafir aur usko jhutlati hai... To Masseih Maoud (AS) ne b Nabi Ullah hi hona tha to unka Kafir qarar dia jana lazmi amar thehra....

3) QATAL K LIYE FATWAY:

وَكَذَلِكَ جَعَلْنَا لِكُلِّ نَبِيٍّ عَدُوًّا مِّنَ الْمُجْرِمِينَ وَكَفَى بِرَبِّكَ هَادِيًا وَنَصِيرًاO
اور اسی طرح ہم نے ہر نبی کے لئے جرائم شعار لوگوں میں سے (ان کے) دشمن بنائے تھے (جو ان کے پیغمبرانہ مشن کی مخالفت کرتے اور اس طرح حق اور باطل قوتوں کے درمیان تضاد پیدا ہوتا جس سے انقلاب کے لئے سازگار فضا تیار ہو جاتی تھی)، اور آپ کا رب ہدایت کرنے اور مدد فرمانے کے لئے کافی ہے
( Surat Al Furqan: 31 )

Nabi ka maboos hona ise baat ki nishani hai k log ghalat aqayad aur Allah k hukam k khilaf chal rhay hain aur un mein tazaad hai... To woh ek lehaz se Allah k diye gae hukam ka inkaar kar k mujrim ban jate hain... To jab b koi Nabi ata hai woh log uske dushman hojate hain, aur dushman ab piyar to karta nai ha na k dil mein lay k betha rehta hai... Haar Nabi ko qatal karne ki koshish ki jati hai to Masseih Maoud (AS) ko qatal karne k fatway dena aur koshish ek lazmi amar thehre q k Masseih Maoud (AS) ne lazmaan Nabi Ullah hi hona tha... Aur Nabi hamesha kisi qaum ko seedhi raah hi dikhane ata hai jo k unko ghalat lagti hai...

4) TOHEEN KIA JANA:

كَذَلِكَ مَا أَتَى الَّذِينَ مِن قَبْلِهِم مِّن رَّسُولٍ إِلَّا قَالُوا سَاحِرٌ أَوْ مَجْنُونٌO
اسی طرح اُن سے پہلے لوگوں کے پاس بھی کوئی رسول نہیں آیا مگر انہوں نے یہی کہا کہ (یہ) جادوگر ہے یا دیوانہ ہے
( Surat Al Zuriyat: 52 )

Jesa k Masseih Maoud (AS) ne Nabi Ullah hi hona tha to unke sath b wohi hona tha jo baqi Nabiyon k sath hua... To lazmaan unko b jadugar ya deewana keh k unki toheen kia jana lazmi amar thehra aur bay ja ilzaam laga k uski toheen karna... Jesa k aaj sub kar rhay hain sayaq-o-sabaq hata k baat k matlab change kar k toheen karna.

5) DEEN KA TABAH KARNE WALA

Nabi ki tabhi toheen ki jati hai aur usko jhota tabhi kaha jata hai aur uspe qatal k fatway tabhi lagae jate hain q k woh log apne mutabiq usko deen jo woh gumrahi mein apne mutabiq thek samajhte hain usko tabah karne wala khayal karte hain to yeh b koi nayi bat nai ha...
Views: 525 | Added by: Umer | Rating: 0.0/0
Total comments: 0
Name *:
Email *:
Code *:
Love For All Hatred For None
Islam Is Peace And Love
 
©c©