Sunday, 28-04-2024, 8:43 AMMain | Registration | Login

Site menu

Search

Statistics


Total online: 1
Guests: 1
Users: 0

Our poll

Rate my site
Total of answers: 49

Login form

Blog
Main » 2011 » June » 21 » QUES: Mirza Sahab ne Isa (AS) ki toheen ki aur kaha " Ibn-e-maryam k zikar ko choro Ise se behtar hai Ghulam Ahmed "?
2:37 AM
QUES: Mirza Sahab ne Isa (AS) ki toheen ki aur kaha " Ibn-e-maryam k zikar ko choro Ise se behtar hai Ghulam Ahmed "?
REF: Dafi-Ul-Bala Roohani Khazaen Vol 18. page 240

ANS:

To Janab Arz Hai k pura shair parhain phir samajh behtar aega yeh Hazir hai Aap (AS) ki Tehreer;

Zindagi bakhsh jaam Ahmed hai
Kia piyara yeh naam Ahmed hai

Laakh hon Ambiya magar bakhuda
Subse barh kar maqam Ahmed hai

Baagh Ahmed se hum ne phaal khaya 
Mera bastaan kalaam Ahmed hai

Ibn-E-Maryam k zikar ko choro
Us se behtar Ghulam Ahmed hai

To janab yeh shair apna mafhoom apne aap mein bayan kar rha hai k tamaam nabiyon mein subse barh k Maqam Nabi Kareem (SAW) ka hai aur Aap (SAW) ka ek naam Ahmed b hai... jesa k Hazrat Isa (AS) ki shariyat Tauraat ki paband thi to ap shariyat-e-moosvi k tabay Nabi thay aur Quran k ilawah koi b shariyat mukamal nai hai yeh aijaaz sirf Nabi Kareem (SAW) k pas hai... to jesa k apka darja tamaam Nabiyon se barh k hai wese hi jo apka Ghulam hoga uska darja b bara hi hoga...Ise mein toheen ka pehlu nai hai balke Nabi kareem (SAW) ki azmaat aur Aala maqaam ka pehlu bayan farmaya hai...
Views: 601 | Added by: Umer | Rating: 0.0/0
Total comments: 0
Name *:
Email *:
Code *:
Love For All Hatred For None
Islam Is Peace And Love
 
©c©