Thursday, 16-01-2025, 11:47 AMMain | Registration | Login

Site menu

Search

Statistics


Total online: 1
Guests: 1
Users: 0

Our poll

Rate my site
Total of answers: 49

Login form

Blog
Main » 2011 » June » 21 » QUES: Muhammadi Begum?
2:21 AM
QUES: Muhammadi Begum?

Mirza Ahmed Baig aur dosray rishtay daar ek kisam k dehriyay thay aur who log Allah aur Nabi (SAW) k munkir thay aur Quran, Nabi (SAW) aur Allah ko galiyan detay thay. Jab Hazrat Mirza Ghulam Ahmed (AS) ne dawa kia to un logon ne unke sath intehai mazak ka salook kia aur kaha k " agar Mirza sacha ha to koi nishan hamain dikhae” ( Aina Kamalat-E-Islam RK-Vol 5 page568)… Phir unhon ne ghair muslim aur Christians k sath mil k ek letter (Akhbaar Chashma Noor , August 1885) mein shaya kia jis mein Nabi (SAW) aur Quran ko galiyan di hui thi aur Allah k wajood k liye nishaan talab kia hua tha.. Hazrat Masseih Maoud (AS) ne Allah se dua ki jiske nateeja mein Allah ne unko Ilhaam kia k

" mien ne inki bad kardari aur sarkashi dekhi paas mein anqareb inko mukhtalif kisam ki afat se marun ga aur inko zeray asman halak karun ga. Aur anqareb tu dekhe ga k mein inke sath kia salok karta hu aur hum hare k chez par qadir hain. Mein inki aurton ko bewain, inke bachon ko yateem aur inke gharon ko vairan kardu ga takay woh apne kiyay ki saza paen. Lekin mein inko yakdam halak nai karunga balke ahista ahista  takay who rajo karain aur tauba  karne walon mein se hojaen aur meri lanat ine par aur inke ghar ki chardewari par aur inke baron aur inke choton par aur inki aurton aur inke mardon par aur inke mehmano par jo inke ghar mein utrain nazil hone wali ha aur woh sub k sub maloon hon gay”

( Aina Kamalat-E-Islam Rk-Vol 5, Page 569)

Isi silsala mein Allah ki taraf se dosra Ilhaam hua jis mien farmaya;

" K ise shakhs Ahmed Baig ki Dukhtar kala (bari beti) k nikah k liye silsala junbani kar aur inko kehday k tamam salok aur murawat tum se ise shart se kia jaega aur yeh nikah tumhare liye mojab barkat aur ek rehmat ka nishan hoga aur tamam rehmaton aur barkaton se hisa pao gay, lekin agar nikah se inheraf kia to us ladki ka anjam nehayat hi bura hoga aur jis kisi dosre shakhs se beyahi jaegi who roz nikah se 2.5 saal tak aur uska walid 3 saal tak faut hojae ga”

( Aina Kamalat-E-Islam Rk-Vol 5, page 286)

Ab ise Ilhaam ko parh k yehi Qayas kia jaega k unho ne kaha k Ladki ka nikah mere sath hi hoga magar iske baad ek aur Ilhaam hua jo k aise hai;

" Unho ne hamare nishano ko jhutlaya aur inke sath tamaskhar-o-istehza kia.Khuda talla anjam kaar ise ladki ko tumhari taraf wapis laega”

( Aina Kamalat-E-Islam Rk-Vol 5, page 286)

Ab ise Ilhaam se saaf saaf zahir hai k wapis lanay se murad hai k who kisi aur k nikah mein ajae gi to ise Ilhaam se Allah ka yeh Mansha nai k ladki ka nikah unke sath ho balke kuch aur hi hai aur woh mansha wohi hai jiska unhon ne mutaliba apne Akhbar mein chapay huay letter se kia jo k Allah k wajood ka nishaan hai.

Allah ko apna nishan dikhana aur unka tauba karna hi manzor tha jo k nishan k baghair mumkin nai tha chunancha Mirza Ahmed Baig ne apni beti Muhammadi Begum ki shadi Sultan Muhammad se 7 april 1892 ko kardi. Ahmed Baig ne Allah ki taraf rajo na kia aur tauba nai ki apni Dehriyat wali harkaton se ise waja se woh Allah k ghazab ka shikar hokay Ain peshgoi k mutabiq Nikah se 5 months aur 24 din baad 30 sep 1892 ko faut hogya. Jab Sultan Muhammad ne dekha k Ilham ka ek hisa pura ho chuka ha aur ab uski bari hai to usne tauba karli. Q k Allah ki mansha unki tauba thi na k Muhammadi Begum ka Nikah.

Dar haqeqat Allah ki mansha unki tauba thi isliye Allah ne apko ek aur Ilhaam 1888 mein kia jo k Shadi se 4 saal pehle ka ilham hai jis se wazeha hojata ha k Allah ki kia mansha thi aur yeh Ishtehar Darj hai;

" Ine dono mardon mein se Ahmed Baig aur Sultan Muhammad mein se ek mard hi marega yani tauba nai karega aur dosra tauba ki shart se faida utha lega aur nai marega”

(Tatma Ishtehar 10 July, Hashiya Ihstehar 15 July 1888, Tableegh-E-Risalat page 124 Vol 1)

 

Ise pehgoi k tehat Ahmed Baig faut hogya aur Sultan Muhammad zinda reh gya q k usne tauba karli apne Dehriyat k aqeeda aur Allah uske Rasool (SAW) aur Quran ki shaan mein gustakhi karne se so who ise ilham k tehat bach gya jo k Start mein darj ha"….mein inko yakdam halak nai karunga balke ahista ahista  takay who rajo karain aur tauba  karne walon mein se hojaen….”

Ab Sultan Muhammad ki Tauba ka Saboot reh gya to uski tauba ka sabot uska apna khaat hai jis mein usne  khud apni tauba ka iqrar apne kisi azeez se kia ha jo k darj zail ha;

" Nawaz shanama apka pohancha.yaad awri ka mashkor hun.mein janab Mirza ji sahib marhoom ko naik bazurg, Islam ka khidmatguzar, sharif unafs khudayad pehle b aura b b khayal kar rha hu. Mujhe inke mureedon se kisi kisam ki mukhalifat nai ha balke afsos karta hun k chand ek amorat ki waja se inki zindagi mein inka sharf hasil na kar saka”

( Nayaz mand Sultan Muhammad Az Ambala, Rasala No 9)

Iske Ilwah Subse bara sabot Sultan Muhammad k apne betay Muhammad Ishaq Baig ne Hazrat Mirza Ghulam Ahmed (AS) ki bait kar k dia aur yeh Sultan Muhammad ki tauba ka khaat aur apna bayan dia jo k darj zail hawalay mein se parha jaskta hai

( Alfazal 26 Feb 1932, page 9)

Iske Ilawah Mumammadi Begum ki walida jo k Ahmed Baig ki biwi thi unhon ne bait ki, Muhammadi begum ki behan Anayat Begum aur Mehmooda Begum, Bhai Mirza Muhammad Baig ne bait ki. Iske ilawah Mirza Mehmood Jo k Ahmed baig k potay thay, Mirza Nizam din aur tamam ghar k afrad, Mirza Muhammad Ahsan baig jo k Ahmed Baig k damad thay Hazrat Mirza Ghulam Ahmed (AS) ki bait ki aur jo Allah ki mansha thi k yeh apne dehriyat walay aqaid se tauba kar lain jiske liye unho ne nishan manga puri hui. Aur ine sub afraad ki bait ise bat ka sabot hai k woh b Allah ki mansha samajhte thay warna ine mein se koi b Bait na karta.

Views: 4380 | Added by: Umer | Rating: 0.0/0
Total comments: 0
Name *:
Email *:
Code *:
Love For All Hatred For None
Islam Is Peace And Love
 
©c©