Thursday, 16-01-2025, 12:10 PMMain | Registration | Login

Site menu

Search

Statistics


Total online: 1
Guests: 1
Users: 0

Our poll

Rate my site
Total of answers: 49

Login form

Blog
Main » 2011 » June » 21 » QUES: Muslims Ka qayamat Se pehle Yahoodi aur Christian sift hona?
2:25 AM
QUES: Muslims Ka qayamat Se pehle Yahoodi aur Christian sift hona?
ANS:

Mirza Sahab ne apni kitaab Kashti Nooh Rohani Khazaen Vol 19 mein kaha hai " Aur yeh baat muslims k aqeeda mein dakhil hai k akhri zamana mein hazaar haa muslim kehlanay walay yahoodi sift hojaen gay aur Quran sharif k kai ek maqamat pe b yeh pehshgoi hai.

اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَO
ہمیں سیدھا راستہ دکھاo
صِرَاطَ الَّذِينَ أَنْعَمْتَ عَلَيْهِمْO
ان لوگوں کا راستہ جن پر تو نے انعام فرمایاo
غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلا الضَّالِّينَO
ان لوگوں کا نہیں جن پر غضب کیا گیا ہے اور نہ (ہی) گمراہوں کا
( Surat Fatiha )

Har roz 5 waqt ki namaz mein tamam Muslims surat fatiha parhte hain kabhi socha ha q? hum har namaz mein kehte hain k aay Allah hamain seedha rasta dikha... sawal hai k konsa rasta? agay ata ha un logon ka rasta jin par tu ne inaam kia aur inaam konsa yeh woh inaam hai jiska Allah aur uske Rasool (SAW) ki attat karne pe inaam ka wada kia gya hai yani Nabi,shaheed,sadeeq,saleh ( Al Nisa: 70 ).... na k un logon k raste jin pe tera ghazab nazil hua... ab ghazab jin jin qaomon pe nazil hua unka Quran mein bari tafseel se zikar ata hai har Nabi ki qaum pe azaab aya aur uska zikar b hai Quran mein... ab reh gai bat Muslims k aqeeda mein yeh honay ki... to Arz hai k aj k daur mein sirf 2 hi aisi qaumain hai jo k apni kitaab ko manjanib Allah manti hain ek Yahoodi aur ek Christians.... aur as Muslims hum roz yeh dua karte hain k hamain inaam wale garoh mein jaga day na k gumrahon k, to gumrah kon hain? yahoodi aur Christians jo k majority mein hain... aur Aj k daur mein kia nazar nai ati yahoodi sifaat Muslims mein? sharab peena,zana karna,hijab utar phenkna aurton ka,fahash dresses pehnna aur bohat kuch jo subko pata hai to kia yeh Muslim ki sifaat hain?

2nd yahoodi hi woh hain jinhon ne Isa (AS) ka inkaar kia tha k ise se pehle Aliya Nabi ne ana tha aur aj tak unki wafat k baad b unko galiyan dete hain to same aj k Muslims ka haal b hai k Hazrat Masseih Maoud (AS) ka inkaar kar rhay hain aur unki wafat k baad b unko galiyan day rhay hain :-) to yeh b unki sift hi hai.

Iske ilawah Nabi Kareem (SAW) ka ise chez ki peshgoi farmana Hadees mein k Imaan suraiya pe chala jaega, Akhri Khutba mein farmana k mere janay k baad ek dosray k sir na katnay lag jana, Ulma ko bandar aur suwar se tasheeh dena, masjidon ka namazon se khali hona yeh sub isi ki taraf ishara hain k naam k Muslim reh jaen gay baqi sifaat yahoodiyon wali hi hojaen gi...

5.jpg Now see this Hadees.... i guess it clearly tells the answer and verifies the aayat's translation i have stated above from surat fateha.... so whats the big deal?? it is just for the people who are not " sumuun bukmuun umyuun".... blinds cannot see it and wont accept it... their ego will not let them do it... :-) After Quran And Hadees the most Mustanad of All what u need now? :-)

Jazakallah

Views: 9850 | Added by: Umer | Rating: 1.3/7
Total comments: 0
Name *:
Email *:
Code *:
Love For All Hatred For None
Islam Is Peace And Love
 
©c©