Sunday, 28-04-2024, 2:15 PMMain | Registration | Login

Site menu

Search

Statistics


Total online: 1
Guests: 1
Users: 0

Our poll

Rate my site
Total of answers: 49

Login form

Blog
Main » 2011 » June » 21 » QUES: Namaz Mein khushu-O-Khuzoo ko Insaani Nutfa se tashbeeh dena?
2:34 AM
QUES: Namaz Mein khushu-O-Khuzoo ko Insaani Nutfa se tashbeeh dena?
REF: Baraheen-E-Ahmadiyya 5th part, Roohani Khazaen Vol 21, page 193

Mirza Sahab ne mein namaz mein khashoo o khazoo ko Insani Nutfa se tashbeeh di hai? Bhala namaz k sath nutfa ki example?

ANS:

To Janab Arz yeh hai k Hazrat Masseih Maoud (AS) ne Insaan ki 2 cheezon ko bayan kia hai...
1) Jisam
2) Rooh
Jisam k paida honay ka pehla start Nutfa hai jis se insaan paida hota hai aur jiska Quran mein b zikar hai k hum ne tumhain nutfa se paida kia

Aur Rooh k paida hone ka pehla start Khashoo O Khazoo ko bayan farmaya hai, yani jab tak insaan k andar apni namaz aur imaan mein khashoo o khazoo nai paida hoga tab tak roohaniyat nai aegi.

Normally jese logon ko namaz ki aadat par jati hai ya us mein zahiri taur pe maza anay lag jata hai to iska hargiz yeh matlab nai hai k usko Allah se haqeeqi taluq paida hogya hai, yani jo log masjidon mein ja k namaz to ada karte hain but woh namaz kam takrain ziada hoti hain uski misaal insani nutfa se di hai k woh zaruri nai hai k maan k reham se taluq hi pakar lay halan k kaifiyat woh barabar hi dega beshak maan k reham se taluq ho ya na ho uska.

Nutfa beshak biwi k sath taluq pakray ya kisi badkaar aurat k sath uski kaifiyat ek jesi hi hogi magar jo kisi badkaar aurat k sath taluq pakray ga uski kaifiyat aur lazaat b wesi hi hogi jesa k biwi k sath magar badkaar ki misaal un logon ki hai jo buut parast aur mushrik hain.

Mukhtasir yeh k ise misaal ka maqsad insaan ki 2 wajood jo k Jism aur rooh hain bayan farmaya hai... roohaniyat aur Khashoo o khazoo rooh se taluq rakhta hai to uski misaal jism se di hai Aap (AS) ne...

 
‎1. قَدْ أَفْلَحَ الْمُؤْمِنُونَO
1. بیشک ایمان والے مراد پا گئےo
2. الَّذِينَ هُمْ فِي صَلَاتِهِمْ خَاشِعُونَO
2. جو لوگ اپنی نماز میں عجز و نیاز کرتے ہیںo
3. وَالَّذِينَ هُمْ عَنِ اللَّغْوِ مُعْرِضُونَO
3. اور جو بیہودہ باتوں سے (ہر وقت) کنارہ کش رہتے ہیںo
4. وَالَّذِينَ هُمْ لِلزَّكَاةِ فَاعِلُونَO
4. اور جو (ہمیشہ) زکوٰۃ ادا (کر کے اپنی جان و مال کو پاک) کرتے رہتے ہیںo
5. وَالَّذِينَ هُمْ لِفُرُوجِهِمْ حَافِظُونَO
5. اور جو (دائماً) اپنی شرم گاہوں کی حفاظت کرتے رہتے ہیںo
6. إِلَّا عَلَى أَزْوَاجِهِمْ أوْ مَا مَلَكَتْ أَيْمَانُهُمْ فَإِنَّهُمْ غَيْرُ مَلُومِينَO
6. سوائے اپنی بیویوں کے یا ان باندیوں کے جو ان کے ہاتھوں کی مملوک ہیں، بیشک (احکامِ شریعت کے مطابق ان کے پاس جانے سے) ان پر کوئی ملامت نہیںo
7. فَمَنِ ابْتَغَى وَرَاءَ ذَلِكَ فَأُوْلَئِكَ هُمُ الْعَادُونَO
7. پھر جو شخص ان (حلال عورتوں) کے سوا کسی اور کا خواہش مند ہوا تو ایسے لوگ ہی حد سے تجاوز کرنے والے (سرکش) ہیںo
8. وَالَّذِينَ هُمْ لِأَمَانَاتِهِمْ وَعَهْدِهِمْ رَاعُونَO
8. اور جو لوگ اپنی امانتوں اور اپنے وعدوں کی پاسداری کرنے والے ہیںo
9. وَالَّذِينَ هُمْ عَلَى صَلَوَاتِهِمْ يُحَافِظُونَO
9. اور جو اپنی نمازوں کی (مداومت کے ساتھ) حفاظت کرنے والے ہیںo
10. أُوْلَئِكَ هُمُ الْوَارِثُونَO
10. یہی لوگ (جنت کے) وارث ہیں
( Surat Al Mominoon: 1-10 )
Yeh woh surat Al Mominoon ki ibtadaai ayaat hain jinke baray mein Hazrat Masseih Maoud (AS) ne Insaan ki 6 roohani aur 6 jismani paidaish ki halton ko tafseel se bayan farmaya hai...
Views: 574 | Added by: Umer | Rating: 0.0/0
Total comments: 0
Name *:
Email *:
Code *:
Love For All Hatred For None
Islam Is Peace And Love
 
©c©